اردو हिंदी
Sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki | Shaahi Shayari
sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

Ghazal

Sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki

Hammad Niyazi

;

sabz-kheton se umaDti raushni taswir ki
main ne apni aankh se ek harf-gah tamir ki

sun qatar andar qatar ashjar ki sargoshiyan
aur kahani paDh KHizan ne raat jo tahrir ki

kachchi qabron par saji KHushbu ki bikhri lash par
KHamushi ne ek nae andaz mein taqrir ki

bachpane ki dars-gahon mein purane TaT par
dil ne hairani ki pahli bargah tasKHir ki

raushni mein raqs karte KHak ke zarraat ne
intiha-e-ab-o-gil ki awwalin tafsir ki

kohsaron ke saron par baadalon ki pagDiyan
ek tamsil-e-numayan aaya-e-tathir ki

dhund ke lashkar ka chaaron or pahra tha magar
ek diye ne raushni ki raat bhar tashhir ki

aaj phir aab-e-muqaddas aankh se hijrat kiya
ghar pahunchne mein kisi ne aaj phir taKHir ki