اردو हिंदी
Sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak | Shaahi Shayari
sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak

Ghazal

Sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak

Mela Ram Wafa

;

sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak
jaan Thahri na dil-e-dost mein ghar hone tak

shab-e-furqat ki bhi hone ko sahar to hogi
han magar hum nahin hone ke sahar hone tak

sahne hain jaur-o-sitam jhelne hain ranj-o-alam
yani karni hai basar umr basar hone tak

tera parda bhi uTha degi meri ruswai
tera parda hai mere KHak-ba-sar hone tak

mutazalzal to hai muddat se nizam-e-alam
naubat aa pahunchi hai ab zer-o-zabar hone tak

fursat-e-matam-e-parwana kahan se aae
shama ko maut se laDna hai sahar hone tak

ai 'wafa' marka-e-ishq to sar kya hoga
ho chukenge hamin ye marka sar hone tak