اردو हिंदी
Sabhi tare sabhi jugnu mere | Shaahi Shayari
sabhi tare sabhi jugnu mere

Ghazal

Sabhi tare sabhi jugnu mere

Mohammad Ali Mauj

;

sabhi tare sabhi jugnu mere
ab aur aanchal hai aur aansu mere

kya hikayat-e-shab-o-roz kahun
zehn mein hain ruKH-o-gesu mere

qaid kar le koi aainon mein
aks bikhre hue har-su mere

kash aisa ho ki titli ban kar
hath aa jae wo KHushbu mere

sab ki aankhon mein uDanen hain meri
kis ne dekhe par-o-bazu mere

ek masum sa chehra ai 'mauj'
kar gaya zehn pe jadu mere