sabhi kahen mere gham-KHwar ke alawa bhi
koi to baat karun yar ke alawa bhi
bahut se aise sitamgar the ab jo yaad nahin
kisi habib-e-dil-azar ke alawa bhi
ye kya ki tum bhi sar-e-rah haal puchhte ho
kabhi milo hamein bazar ke alawa bhi
ujaD ghar mein ye KHushbu kahan se aai hai
koi to hai dar-o-diwar ke alawa bhi
so dekh kar tere ruKHsar o lab yaqin aaya
ki phul khilte hain gulzar ke alawa bhi
kabhi 'faraaz' se aa kar milo jo waqt mile
ye shaKHs KHub hai ashaar ke alawa bhi
Ghazal
Sabhi kahen mere gham-KHwar ke alawa bhi
Ahmad Faraz