sabhi ka dhup se bachne ko sar nahin hota
har aadmi ke muqaddar mein ghar nahin hota
kabhi lahu se bhi tariKH likhni paDti hai
har ek marka baaton se sar nahin hota
main us ki aankh ka aansu na ban saka warna
mujhe bhi KHak mein milne ka Dar nahin hota
mujhe talash karoge to phir na paoge
main ek sada hun sadaon ka ghar nahin hota
hamari aankh ke aansu ki apni duniya hai
kisi faqir ko shahon ka Dar nahin hota
main us makan mein rahta hun aur zinda hun
'wasim' jis mein hawa ka guzar nahin hota
Ghazal
Sabhi ka dhup se bachne ko sar nahin hota
Waseem Barelvi