saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujh ko 
bula raha hai mere KHun ka zaiqa mujh ko 
hanuz safha-e-hasti pe hun main harf-e-ghalat 
koi hanuz hai likh likh ke kaTta mujh ko 
hazar chehra tilism-e-gurez-pa hun main 
asir kar na saka koi aaina mujh ko 
chala hi jaun main parchhaiyon ke des ko aur 
pukarta rahe kirnon ka qafila mujh ko 
yahi hain rat-jage jab se khulin meri aankhen 
na tha wo KHwab mera ek azab tha mujh ko 
chala tha main to samundar ki tishnagi le kar 
mila ye kaisa sarabon ka silsila mujh ko 
ye baat kis se kahun aah ek gul-e-KHubi 
baDe hi pyar se kanTa chubho gaya mujh ko
        Ghazal
Saba se aati hai kuchh bu-e-ashna mujhko
Urfi Aafaqi

