saba dekh ek din idhar aan kar ke
ye dil bhi paDa hai gulistan kar ke
yahi dil jo ek bund hai bahr-e-gham ki
Dubo dega sab shahr tufan kar ke
miyan dil ko is aaina-ru ke aage
jo rakhna to yak-laKHt hairan kar ke
KHuda jaane kya asliyat ghair ki hai
dikhe hai bani-nau-e-insan kar ke
use ab raqibon mein pate hain aksar
rakha jis ko KHud se bhi anjaan kar ke
dikha denge achchha isi fasl-e-gul mein
gareban ko hum gareban kar ke
hamare to ek ghar bhi hai bhai majnun
paDe hain usi ko bayaban kar ke
Ghazal
Saba dekh ek din idhar aan kar ke
Ahmad Javed