sab toD ke bandhan duniya ke main pyar ki jot jagaungi
ab maya-jal se niklungi aur joganiya kahlaungi
tu ne to prem ki kuTiya ko pal-bhar mein jala kar rakh kiya
ab meri chita tayyar karo main sath sati ho jaungi
ye duniya lobhan nari hai hans hans kar sab se kahti hai
tum sone ke ban kar aao main jai-mala pahnaungi
tum man dhan prem ke mandir par main war ke bahar baiThi hun
ek sans ki duri aTki hai ab is ki bhenT chaDhaungi
ye maili oDhni oDhungi wo aaega to dho lungi
wo khele dhan mein daulat mein ab main us dwar na jaungi
ek murakh se byopari ne bin-mol mera man bech diya
main nagri nagri ghumungi aur prem ka mol chukaungi
nainon ka kajra bhig gaya baini ka gajra TuT gaya
ab bhor-bhae ghar aaya to ban kar main so jaungi
Ghazal
Sab toD ke bandhan duniya ke main pyar ki jot jagaungi
Shabnam Shakeel

