sab tere siwa kafir aaKHir is ka matlab kya
sar phira de insan ka aisa KHabt-e-mazhab kya
ek ishaara-e-farda ek jumbish-e-lab kya
dekh dikhata hai wada-e-tazabzab kya
chullu-bhar mein matwali do hi ghunT mein KHali
ye bhari jawani kya jazba-e-laba-lab kya
han duaen leta ja galiyan bhi deta ja
tazgi to kuchh pahunche chahta rahun lab kya
shamat aa gai aaKHir kah gaya KHuda-lagti
rasti ka phal pata banda-e-muqarrab kya
ulTi-sidhi sunta rah apni kah to ulTi kah
sada hai tu kya jaane bhanpne ka hai Dhab kya
sab jihad hain dil ke sab fasad hain dil ke
be-dilon ka matlab kya aur tark-e-matlab kya
ho rahega sajda bhi jab kisi ki yaad aai
yaad jaane kab aae zinda-dari-e-shab kya
aandhiyan ruken kyun kar zalzale thamin kyun kar
kargah-e-fitrat mein pasbani-e-rab kya
kar-e-marg kai din ka thoDi der ka jhagDa
dekhna hai ye nadan jine ka hai kartab kya
paD chuke bahut pale Das chuke bahut kale
muziyon ke muzi ko fikr-e-nish-e-aqrab kya
mirza 'yagana' wah zindabaad zindabaad
ek bala-e-be-darman kya the tum aur ab kya

Ghazal
Sab tere siwa kafir aaKHir is ka matlab kya
Yagana Changezi