sab ThaTh ye ek bund se qudrat ki bana hai
yan aur kisi ki na mani hai na mana hai
bil-farz agar hum hue hawwa ke shikam se
aadam ke tain dekhiye wo kis ka jana hai
yan log dulhan dulha ke qisse mein phanse hain
wan aur bunat hai na bani hai na bana hai
hikmat ka ulaT-pher nahin jin ki nazar mein
wo kahte hain ghafil ye baqa hai ye fana hai
le arsh se ta-farsh jo raushan hai tilismat
ye nur sab us nur ki chhalni se chhana hai
hum kachche se kachcha ise samjhe hain wagarna
us deg ke chawal mein kani hai na kana hai
milna bhi gharaz ka hai laDai bhi gharaz ki
nahin aur kisi se koi ruTha na mana hai
hajat na bar aai to wahin karne lage hajw
aur ho gaya matlab to hain wasf-o-sana hai
yabis kahin martub kahin garm kahin sard
misri mein kahin zahr halahil mein sana hai
ek is ki dawa samjhi nahin jati 'nazir' aah
kuchh zor hi majun ka nusKHa ye bana hai

Ghazal
Sab ThaTh ye ek bund se qudrat ki bana hai
Nazeer Akbarabadi