sab se pahle to arz matla hai
yun samajhiye ki us ka jalwa hai
aaina jhuT bolne ke liye
sau bahane talash karta hai
zinda rakkhegi shaeri mujh ko
kaun kahta hai is mein ghaTa hai
dil-e-shair bhi hai phisaDDi hi
husn ke pichhe pichhe rahta hai
sach zamini ki aasmani ho
wo badan zinda istiara hai
koi achchha sa sher ho jae
phir to barson KHamosh rahna hai
apne bare mein sochne ke liye
dur se chand ka ishaara hai
chhu ke malbus-e-yar hai guzri
mood bigDa hua saba ka hai
Ghazal
Sab se pahle to arz matla hai
Shamim Qasmi