sab pe tu mehrban hai pyare 
kuchh hamara bhi dhyan hai pyare 
aa ki tujh bin bahut dinon se ye dil 
ek suna makan hai pyare 
tu jahan naz se qadam rakh de 
wo zamin aasman hai pyare 
muKHtasar hai ye shauq ki rudad 
har nafas dastan hai pyare 
apne ji mein zara to kar insaf 
kab se na-mehrban hai pyare 
sabr TuTe hue dilon ka na le 
tu yunhi dhan pan hai pyare 
hum se jo ho saka so kar guzre 
ab tera imtihan hai pyare 
mujh mein tujh mein to koi farq nahin 
ishq kyun darmiyan hai pyare 
kya kahe haal-e-dil gharib 'jigar' 
TuTi phuTi zaban hai pyare
 
        Ghazal
Sab pe tu mehrban hai pyare
Jigar Moradabadi

