اردو हिंदी
Sab mujhe aarzi sa lagta hai | Shaahi Shayari
sab mujhe aarzi sa lagta hai

Ghazal

Sab mujhe aarzi sa lagta hai

abdurrahman momin

;

sab mujhe aarzi sa lagta hai
tu magar zindagi sa lagta hai

aaina hai magar na jaane kyun
aadmi aadmi sa lagta hai

KHud ko kitna bhula diya main ne
tu bhi ab ajnabi sa lagta hai

ishq mein zindagi basar karna
aql ko KHud-kushi sa lagta hai

jo tere hijr mein mila 'momin'
bas wahi gham KHushi sa lagta hai