sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain
hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain
tewar tere ai rashk-e-qamar dekh rahe hain
hum sham se aasar-e-sahar dekh rahe hain
mera dil-e-gum-gashta jo DhunDa nahin milta
wo apna dahan apni kamar dekh rahe hain
koi to nikal aaega sarbaz-e-mohabbat
dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
hai majma-e-aghyar ki hangama-e-mahshar
kya sair mere dida-e-tar dekh rahe hain
ab ai nigah-e-shauq na rah jae tamanna
is waqt udhar se wo idhar dekh rahe hain
har-chand ki har roz ki ranjish hai qayamat
hum koi din us ko bhi magar dekh rahe hain
aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se
kyun sab taraf-e-rahguzar dekh rahe hain
takrar tajalli ne tere jalwe mein kyun ki
hairat-zada sab ahl-e-nazar dekh rahe hain
nairang hai ek ek tera did ke qabil
hum ai falak-e-shobada-gar dekh rahe hain
kab tak hai tumhaara suKHan-e-talKH gawara
is zahr mein kitna hai asar dekh rahe hain
kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka taDapna
kuchh ghaur se qatil ka hunar dekh rahe hain
ab tak to jo qismat ne dikhaya wahi dekha
aainda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain
pahle to suna karte the aashiq ki musibat
ab aankh se wo aaTh pahar dekh rahe hain
kyun kufr hai didar-e-sanam hazrat-e-waiz
allah dikhata hai bashar dekh rahe hain
KHat ghair ka paDhte the jo Toka to wo bole
aKHbar ka parcha hai KHabar dekh rahe hain
paDh paDh ke wo dam karte hain kuchh hath par apne
hans hans ke mere zaKHm-e-jigar dekh rahe hain
main 'dagh' hun marta hun idhar dekhiye mujh ko
munh pher ke ye aap kidhar dekh rahe hain
Ghazal
Sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain
Dagh Dehlvi