sab kuchh hai ayan phir bhi hai parda mere aage
duniya hai teri ek karishma mere aage
main pyas ki shiddat ka falak chum rahi hun
ghista hai jabin KHak pe dariya mere aage
main KHud ko lakiron mein kahin DhunD hi leti
muTThi wo kabhi khol to deta mere aage
jis samt bhi dekhun hain sarabon ki saliben
phaila hai ajab ret ka sahra mere aage
tanqid meri un ke gunahon pe nahin thi
aaina-e-amal rakha tha mere aage
na-karda gunahon ki saza pai hai 'nusrat'
insaf hua shahr mein ruswa mere aage
Ghazal
Sab kuchh hai ayan phir bhi hai parda mere aage
Nusrat Mehdi