اردو हिंदी
Sab ko ye fikr hath se ab ek pal na jae | Shaahi Shayari
sab ko ye fikr hath se ab ek pal na jae

Ghazal

Sab ko ye fikr hath se ab ek pal na jae

Nadeem Fazli

;

sab ko ye fikr hath se ab ek pal na jae
duniya hudud-e-waqt se aage nikal na jae

sab ko fareb de magar itna rahe KHayal
bahrup bharte bharte ye chehra badal na jae

gham se nibah kijiye is tamkanat ke sath
dil ka sharara aankh ki had tak machal na jae

zauq-e-nazar diya hai to zarf-e-nazar bhi de
Dar hai mujhe shuur ki wusat nigal na jae

sunta hun aap meri ayaadat ko aaenge
karta hun sau jatan ki tabiat sambhal na jae

wo dard hai ki phaT na paDe dil kahin 'nadim'
wo KHauf hai ki riDh ki haDDi pighal na jae