sab ko wahshat hai meri wahshat ke saman dekh kar
chaak-daman dekh kar chaak-e-gareban dekh kar
be-KHabar kanTon se tha ahl-e-mohabbat ka shuur
panw rakhne the zamin-e-ku-e-jaanan dekh kar
allah allah jazba-e-ulfat ki moajiz-kariyan
wo pareshan ho gae mujh ko pareshan dekh kar
yaad aaya phir mujhe afsana-e-tur-o-kalim
ek tajalli si tere aariz pe raqsan dekh kar
chaaragar ab mujh se meri lazzat-e-iza na puchh
KHanda-zan hote hain zaKHm-e-dil namakdan dekh kar
hai mohabbat ka agar donon taraf yaksan asar
wo pareshan kyun nahin mujh ko pareshan dekh kar
is mein muzmar hain bahut naghme hayat-e-ishq ke
chheD mizrab-e-junun saz-e-rag-e-jaan dekh kar
is junun ka chaaragar ab aur hi kuchh kar ilaj
aur wahshat baDh chali hai kunj-e-zindan dekh kar
wa nahin hota lab-e-shikwa sar-e-mahshar 'rais'
apne sar par KHanjar-e-qatil ka ehsan dekh kar
Ghazal
Sab ko wahshat hai meri wahshat ke saman dekh kar
Raees Niyazi

