اردو हिंदी
Sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha | Shaahi Shayari
sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

Ghazal

Sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

Jagat Mohan Lal Ravan

;

sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha
kis darja kaamyab fareb-e-majaz tha

misl-e-mah-e-do-hafta wahi sarfaraaz tha
jis ki jabin-e-shauq pe dagh-e-niyaz tha

puchho na haal-e-kashmakash-e-yas-o-arzu
wo bhi ajib marhala-e-jaan-gudaz tha

jab tak haqiqaton se mera dil tha be-KHabar
bechaara mubtala-e-gham-e-imtiyaz tha

jhonka hawa-e-sarw ka rindon ke waste
KHum-KHana-e-bahaar se hukm-e-jawaz tha

ahl-e-jahan ke kufr o tawahhum ka kya ilaj
aaina kah raha hai ki aaina-saz tha

muzmir the meri zat mein asrar-e-kaenat
main aap raaz aap hi KHud sharah-e-raaz tha

aaen pasand kya use duniya ki rahaten
jo lazzat-ashna-e-sitam-ha-e-naz tha

KHilqat samajh rahi thi jise iztirab-e-dil
pinhan usi mein hasti-e-ashiq ka raaz tha

achchha hua hamesha ko chup ho gaya 'rawan'
ek ek nafas gharib ka hasti-gudaz tha