sab ke jalwe nazar se guzre hain
wo na jaane kidhar se guzre hain
mauj-e-awaz-e-pa-e-yar ke sath
naghme diwar-o-dar se guzre hain
aaj aaya hai apna dhyan hamein
aaj dil ke nagar se guzre hain
ghar ke goshe mein the kahin pinhan
jitne sailab ghar se guzre hain
zulf ke KHam hon ya jahan ke gham
mar miTe hum jidhar se guzre hain
sadaf-e-tah-nashin bhi kanp gaya
kaise tufan sar se guzre hain
bagh shadab mauj-e-gul hi nahin
sail-e-KHun bhi idhar se guzre hain
jab chaDhi hai kaman kahin 'abid'
tere mere jigar se guzre hain
Ghazal
Sab ke jalwe nazar se guzre hain
Syed Aabid Ali Aabid