اردو हिंदी
Sazishon ki bhiD mein tarikiyan sar par uThae | Shaahi Shayari
sazishon ki bhiD mein tarikiyan sar par uThae

Ghazal

Sazishon ki bhiD mein tarikiyan sar par uThae

P P Srivastava Rind

;

sazishon ki bhiD mein tarikiyan sar par uThae
baDh rahe hain sham ke sae dhuan sar par uThae

reg-zaron mein bhaTakti soch ke kuchh KHushk lamhe
talKHi-e-haalat ki hain dastan sar par uThae

KHwahishon ki aanch mein tapte badan ki lazzaten hain
aur wahshi raat hai gumrahiyan sar par uThae

chand gungi dastaken hain ghar ke darwaze ke bahar
chiKH sannaTon ki hai sara makan sar par uThae

zehn mein Thahri hui hai ek aandhi muddaton se
hum magar phirte rahe reg-e-rawan sar par uThae

aalam-e-la-warsi mein jaane kab se dar-ba-dar hun
pusht par mazi ko lade qarz-e-jaan sar par uThae

muztarib si ruh hai meri bhaTakta phir raha hun
main kai janmon se hun bar-e-giran sar par uThae

'rind' jab be-samtiyon mein KHushk patte uD rahe hon
tohmaten kis ke liye sham-e-KHizan sar par uThae