saya mera saya wo
mujh mein aan samaya wo
din nikal aaya aangan mein
raat gae jab aaya wo
mere lahu ki gardish mein
chupke se dar aaya wo
meri gali mein raat gae
lahraata ek saya wo
ghuncha sa mere sath gaya
subh talak khil aaya wo
meri zinda sanson mein
kaisa aan samaya wo
qurb ki halki barish mein
qaus-e-quzah ban aaya wo
mujh se hua bebak magar
phulon se sharmaya wo
hijr ke tapte sahra mein
meri tarah kumhlaya wo
ji na sakun main jis ke baghair
akasr yaad na aaya wo
'nasir' sachcha shaer tha
aaj bahut yaad aaya wo
kaise kaise rup liye
shahr-e-ghazal mein aaya wo
Ghazal
Saya mera saya wo
Athar Nafees