saya koi main apne hi paikar se nikalun
tanhai bata kaise tujhe ghar se nikalun
ek mauj bhi mil jae agar mujh ko sile mein
girte hue dariya ko samundar se nikalun
teshe se bajata phirun main barbat-e-kohsar
naghme jo mere dil mein hain patthar se nikalun
lau tez nahin kuchh meri aankhon hi ki shayad
matlab yahi be-nuri-e-manzar se nikalun
badle na koi rang tera husn-e-KHamoshi
main baat ke pahlu tere tewar se nikalun
tauba ne jagaya mere andar ka sharabi
ab fal bhi TuTe hue saghar se nikalun
sochon ke bayaban mein liye phirta hai mujh ko
kya zehn bhi sauda hai jise sar se nikalun
ek nasl-e-suKHan mujh mein hai aabaad 'muzaffar'
surat nai har lafz ke andar se nikalun

Ghazal
Saya koi main apne hi paikar se nikalun
Muzaffar Warsi