saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah
hum aa gae hain kis taraf tum ko bataen kis tarah
ye phul patte chandni ye suraten man-mohni
aise mein apni jaankani un se chhupaen kis tarah
aalam bahaaran ka sahi manzar gulistan ka sahi
basti bayaban ki sahi daman bachaen kis tarah
jis phul ki har pankhuDi hoti hai moti ki laDi
us phul ki KHatir kabhi aansu bahaen kis tarah
Ghazal
Saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah
Qamar Jameel

