saya-e-zulm sar-e-KHalq-e-KHuda hota hai
jab bhi parcham shab-e-yalda ka khula hota hai
jaante bhi hain ki hai zulm ki baala-dasti
ye bhi kahte hain ki bandon ka KHuda hota hai
raat-bhar jagne walon ne bataya hai hamein
raat-bhar shahr ka darwaza khula hota hai
wahi parkar-e-jafa aur wahi qirtas-e-watan
daera jabr ka har samt khincha hota hai
ab to ye haal hua hai ki har ek raste par
rah roke hue ek rah-numa hota hai
nisbat-e-ahd-e-guzishta se ba-qaul-e-'ghaalib'
roz is shahr mein ek hukm naya hota hai
sab samajhte hain 'munir' aur kahe jate hain
kuchh samajh mein nahin aata hai ki kya hota hai

Ghazal
Saya-e-zulm sar-e-KHalq-e-KHuda hota hai
Syed Muneer