sawan mein ghabra jata hai
dil mera sahra jata hai
alif samajh mein aa jawe to
sab kuchh paDhna aa jata hai
barf ka ek ek aansu pi kar
dariya wajd mein aa jata hai
asl safar hai wahan se aage
jahan talak rasta jata hai
laDki mele mein tanha thi
soch ke dil baiTha jata hai
jab main jangal ho jata hun
mor nachne aa jata hai
shayad us ne dastak sun li
dekho dar khulta jata hai
nind ke bin bajate hi 'ashk'
bistar mein sanp aa jata hai
Ghazal
Sawan mein ghabra jata hai
Parveen Kumar Ashk

