اردو हिंदी
Sawan ki rut aa pahunchi kale baadal chhaenge | Shaahi Shayari
sawan ki rut aa pahunchi kale baadal chhaenge

Ghazal

Sawan ki rut aa pahunchi kale baadal chhaenge

Saghar Nizami

;

sawan ki rut aa pahunchi kale baadal chhaenge
kaliyan rang mein bhigengi phulon mein ras aaenge

han wo milne aaenge rahm bhi kuchh farmaenge
husn magar chuTki lega phir qatil ban jaenge

nale khoe dhundalke mein sham hui raat aa pahunchi
prem ke sone mandir mein aaKHir wo kab aaenge

hasti ki bad-masti kya hasti KHud ek masti hai
maut usi din aaegi hosh mein jis din aaenge

meri aankhen kuchh bhi nahin tere jalwe jalwe hain
tu jab samne aaega parde mein paD jaenge

tare kitne hi chhiTken jugnu kitne hi chamken
shama ki zardi kahti hai raat gae wo aaenge