اردو हिंदी
Sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae | Shaahi Shayari
sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae

Ghazal

Sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae

Mubeen Mirza

;

sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae
jism mein jab tak lahu se marka haara na jae

ahd-e-mazi mein bhi hai koh-e-nida jaisa tilism
ye bhi wo aawaz hai muD kar jise dekha na jae

is qadar ras aa gai hain zat ki viraniyan
KHud ye KHwahish ho rahi hai dil ka sannaTa na jae

is se aage wapsi ka rasta koi nahin
jo yahan se lauTna chahe use roka na jae

jis se dil wabasta ho be-intiha shiddat ke sath
bhul kar bhi us talluq ko kabhi parkha na jae

yaad us ki phir kahin barson na aae us ke baad
itna ji bhar ke bhi aaj us ke liye roya na jae

mere dukh sukh mere andar zinda hain sab ki tarah
shahar ke logon se mujh ko muKHtalif samjha na jae