sari tartib-e-zamani meri dekhi hui hai
is ki tashkil purani meri dekhi hui hai
zarre zarre ko batata phirun kya bahr tha main
reg-e-sahra ne rawani meri dekhi hui hai
ye jo hasti hai kabhi KHwab hua karti thi
KHwab ki naql-e-makani meri dekhi hui hai
yunhi to kunj-e-qanaat mein nahin aaya hun
khusrawi shah-jahani meri dekhi hui hai
dil ke bazar mein kya sud o ziyan hota tha
us ki arzani girani meri dekhi hui hai
ek zamane mein to main lafz hua karta tha
tangi-e-ju-e-maani meri dekhi hui hai
tum jo sunte ho charaghon ki zabani to suno
shab ki har ek kahani meri dekhi hui hai
main tere wasl ke gardab mein aane ka nahin
is ki har mauj purani meri dekhi hui hai
Ghazal
Sari tartib-e-zamani meri dekhi hui hai
Tariq Naeem