sari hairat hai meri sari ada us ki hai
be-gunahi hai meri aur saza us ki hai
mere alfaz mein jo rang hai wo us ka hai
mere ehsas mein jo hai wo faza us ki hai
sher mere hain magar in mein mohabbat us ki
phul mere hain magar baad-e-saba us ki hai
ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein
shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai
hum ne kya us se mohabbat ki ijazat li thi
dil-shikan hi sahi par baat baja us ki hai
ek mere hi siwa sab ko pukare hai koi
main ne pahle hi kaha tha ye sada us ki hai
KHun se sinchi hai main ne jo zamin mar mar ke
wo zamin ek sitam-gar ne kaha us ki hai
us ne hi is ko ujaDa hai ise luTa hai
ye zamin us ki agar hai bhi to kya us ki hai
Ghazal
Sari hairat hai meri sari ada uski hai
Javed Akhtar