sari baaten KHwab ki tabir se milti to hain
meri tahriren teri taswir se milti to hain
wo sahar ki dilkashi ho ya shafaq ki surKHiyan
kuchh na kuchh ye aap ki taswir se milti to hain
ahl-e-sarwat aaj bhi larzan hain jin ke nam se
mushkilen wo sab hamein taqdir se milti to hain
ye haqiqat hai ayan tariKH ke auraq se
zindagi ki rifaten zanjir se milti to hain
sar-bulandi kaamyabi rahaten aazadiyan
aaj bhi ye jauhar-e-shamshir se milti to hain
tishna-lab rakkha tha jis ne asghar-e-masum ko
KHun ki bunden hamein us tir se milti to hain
jin mein 'nusrat' ek muddat hum bhaTakte hi rahe
zulmaten wo aaj ki tanwir se milti to hain

Ghazal
Sari baaten KHwab ki tabir se milti to hain
Nusrat Siddiqui