sare rishte tabah kar aaya
dil-e-barbaad apne ghar aaya
aaKHirash KHun thukne se miyan
baat mein teri kya asar aaya
tha KHabar mein ziyan dil o jaan ka
har taraf se main be-KHabar aaya
ab yahan hosh mein kabhi apne
nahin aaunga main agar aaya
main raha umr bhar juda KHud se
yaad main KHud ko umr bhar aaya
wo jo dil nam ka tha ek nafar
aaj main is se bhi mukar aaya
muddaton baad ghar gaya tha main
jate hi main wahan se Dar aaya
Ghazal
Sare rishte tabah kar aaya
Jaun Eliya