اردو हिंदी
Sare manzar KHak hote ja rahe hain dosto | Shaahi Shayari
sare manzar KHak hote ja rahe hain dosto

Ghazal

Sare manzar KHak hote ja rahe hain dosto

Maratib Akhtar

;

sare manzar KHak hote ja rahe hain dosto
hum ne jo paya hai khote ja rahe hain dosto

aao paidal hi safar ke silsilon ko raund den
baiThe baiThe banjh hote ja rahe hain dosto

sans ki Dori mein ujDe mausamon ki sipiyan
ek tasalsul se pirote ja rahe hain dosto

tairti muD muD ke takti kashtiyon ke baadban
rafta rafta dur hote ja rahe hain dosto

na-samajh is sar-zamin par aane walon ke liye
nit nae bohran bote ja rahe hain dosto

ye ghani chhanw paDaw thi nae aaghaz ka
is ghani chhanw mein sote ja rahe hain dosto