اردو हिंदी
Sare chaqmaq-badan aaya tha tayyari se | Shaahi Shayari
sare chaqmaq-badan aaya tha tayyari se

Ghazal

Sare chaqmaq-badan aaya tha tayyari se

Nomaan Shauque

;

sare chaqmaq-badan aaya tha tayyari se
raushni KHub hui raat ki chingari se

un daraKHton ki udasi pe taras aata hai
lakDiyan rang na dun aag ki pichkari se

koi dawa bhi nahin karta masihai ka
hum bhi aazad hue jate hain bimari se

munh lagaya hi nahin aslaha-sazon ko kabhi
main ne duniya ko haraya bhi to dildari se

ishq bhi log numaish ke liye karte hain
kya namazen bhi paDhi jati hain ayyari se

sara bazar chala aaya hai ghar mein phir bhi
baz aate hain kahan log KHaridari se

aaKHiri nind se pahle kahan samjhenge hum
KHwab se Darna zaruri hai ki bedari se

husn jis chhanw mein baiTha tha wo qatil to na thi
jal gae jism nigahon ki shajar-kari se

kam-se-kam main to murid un ka nahin ho sakta
jo pas-e-raqs-e-junun baiThe hain hushyari se