sara jahan chhoD ke tum se hi pyar tha
tum jo bhi kah rahe the mujhe e'tibar tha
taqrir neta-ji ne jo basti mein aaj ki
us ka har ek lafz hamein nagawar tha
ghar mein KHuda ke der hai andher to nahin
rahmat ke dar khulenge yahi intizar tha
us ko hamari chah ki kuchh bhi KHabar nahin
jis ke liye hamara ye dil be-qarar tha
kuchh sujhta nahin tha jawani ke josh mein
KHwabon ke dosh par wo ajal se sawar tha
jo log kar rahe ye hamari muKHalifat
hum ko KHabar nahin ki wo un mein shumar tha
Ghazal
Sara jahan chhoD ke tum se hi pyar tha
Shobha Kukkal