sara din be-kar baiThe sham ko ghar aa gae
KHwab mein chalne lage diwar se Takra gae
main bhari saDkon pe bhi be-chap chalne lag gaya
ghar mein soe log mere zehn par yun chha gae
mera beTa mere dushman ki hi taswiren banae
mere abba us ki copy dekh kar ghabra gae
jab bhi suraj Dubte dekha main KHush hone laga
par kai manhus chamgadaD mujhe larza gae
aasman ki samt dekha baadalon ke waste
dekhte hi dekhte chilon ke dil manDla gae
Ghazal
Sara din be-kar baiThe sham ko ghar aa gae
Ali Akbar Abbas