saqiya ho garmi-e-sohbat zara barsat mein
kya hi ThanDi ThanDi chalti hai hawa barsat mein
rakh ke ai saqi KHum-e-mai mein baha dena mujhe
baada-kash hun aaegi meri qaza barsat mein
meri aahen hain dalil-e-girya-e-be-intiha
jitni aandhi aae barish ho siwa barsat mein
panch ye mere hawas-e-KHamsa hain do jism-o-jaan
ishq ne taqsim pai hai barabar sat mein
kab tumhaari rah dekhen phul ho kis fazl ke
aaoge garmi mein ya jaDe mein ya barsat mein
abr dariya sabza saqi yar mutrib duKHt-e-raz
'mehr' hai in sat chizon ka maza barsat mein
Ghazal
Saqiya ho garmi-e-sohbat zara barsat mein
Syed Agha Ali Mehr