اردو हिंदी
Saqi mujhe shabab ka rasiya kahe so hun | Shaahi Shayari
saqi mujhe shabab ka rasiya kahe so hun

Ghazal

Saqi mujhe shabab ka rasiya kahe so hun

Danish Nazeer Dani

;

saqi mujhe shabab ka rasiya kahe so hun
main KHud se be-niyaz hun jaisa kahe so hun

meri hawas ke andarun mahrumiyan hain dost
wamanda-e-bahaar hun ghaTiya kahe so hun

ab main kisi ki soch badalne se to raha
ye shahr-e-bad-guman mujhe shaida kahe so hun

tu hi bata main apni safai mein kya kahun
tu baat baat mein mujhe jhuTa kahe so hun

'danish' KHud-ehtisabi ka mujh mein nahin dimagh
munh-phaT hun bad-mizaj hun duniya kahe so hun