saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya 
naghma bar lab KHum ba sar baada ba jam aa hi gaya 
apni nazron mein nashat-e-jalwa-e-KHuban liye 
KHalwati-e-KHas su-e-bazm-e-am aa hi gaya 
meri duniya jagmaga uTThi kisi ke nur se 
mere gardun par mera mah-e-tamam aa hi gaya 
jhum jhum uTThe shajar kaliyon ne aankhen khol din 
jaanib-e-gulshan koi mast-e-KHiram aa hi gaya 
phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai 
shauq ki shoKHi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya 
meri shab ab meri shab hai mera baada mere jam 
wo mera sarw-e-rawan mah-e-tamam aa hi gaya 
bar-ha aisa hua hai yaad tak dil mein na thi 
bar-ha masti mein lab par un ka nam aa hi gaya 
zindagi ke KHaka-e-sada ko rangin kar diya 
husn kaam aae na aae ishq kaam aa hi gaya 
khul gai thi saf gardun ki haqiqat ai 'majaz' 
KHairiyat guzri ki shahin zer-e-dam aa hi gaya
        Ghazal
Saqi-e-gulfam ba-sad ehtimam aa hi gaya
Asrar-ul-Haq Majaz

