اردو हिंदी
Sanson se ye kah do ki Thahar jaen kisi din | Shaahi Shayari
sanson se ye kah do ki Thahar jaen kisi din

Ghazal

Sanson se ye kah do ki Thahar jaen kisi din

Kanti Mohan Soz

;

sanson se ye kah do ki Thahar jaen kisi din
is dil pe karam itna to farmaen kisi din

ye dil ki jise raund ke har lamha gaya hai
parcham sa uTha kar ise lahraen kisi din

mumkin hai mere zarf ka taKHmina lagana
is qafila-e-dard ko Thahraen kisi din

is pe bhi giran guzregi ye KHu-e-jafa 'soz'
gar yar bhi apni pe utar aaen kisi din