sanson mein shahar-bhar ki utar jaana chahiye
KHushbu ho tum to tum ko bikhar jaana chahiye
karna hai aap ko jo nae raston ki khoj
sab jis taraf na jaen udhar jaana chahiye
us bewafa pe marne ko aamada dil nahin
lekin wafa ki zid hai ki mar jaana chahiye
diwar ban ke waqt agar rasta na de
jhonka hawa ka ban ke guzar jaana chahiye
un ke siwae jin pe tabahi guzar gai
har shaKHs kah raha hai ki har jaana chahiye
yun aah bhar ki us ka taghaful laraz uThe
tu KHak ho gaya ye KHabar jaana chahiye
agli safon mein hum hi rahen kyun sada 'anis'
ab marke mein us ka bhi sar jaana chahiye
Ghazal
Sanson mein shahar-bhar ki utar jaana chahiye
Anis Dehlavi