اردو हिंदी
Sans roke raho lo phir wo sada aati hai | Shaahi Shayari
sans roke raho lo phir wo sada aati hai

Ghazal

Sans roke raho lo phir wo sada aati hai

Manmohan Talkh

;

sans roke raho lo phir wo sada aati hai
jis ko tarsen kai sadiyan to suni jati hai

koi pahchan wahi phans bani hai ki jo thi
ajnabiyyat wahi har sans mein sharmati hai

hath phailae hue mang rahi hai kya raat
kyun andheron mein hawa roe chali jati hai

maut ki nind magar ab ke zarur uchTi hai
warna hum aison ko jhapki si kahan aati hai

baat karta hun main sab ki ye guman kaise hai
mera har saneha mera hai bahut zati hai

kaifiyat si ye magar kya hai hamare ji ki
jaise raftar ki raftar se Takraati hai

apna-pan bhi hai wahi aur wahi khoya-pan
'talKH' tu aaj bhi pahle sa hi jazbaati hai