sans lete hue bhi Darta hun
ye na samjhen ki aah karta hun
bahr-e-hasti mein hun misal-e-habab
miT hi jata hun jab ubharta hun
itni aazadi bhi ghanimat hai
sans leta hun baat karta hun
sheKH sahab KHuda se Darte hon
main to angrezon hi se Darta hun
aap kya puchhte hain mera mizaj
shukr allah ka hai marta hun
ye baDa aib mujh mein hai 'akbar'
dil mein jo aae kah guzarta hun
Ghazal
Sans lete hue bhi Darta hun
Akbar Allahabadi