sans ki dhaar zara ghusti zara kaTti hai
kya daranti hai ki KHud fasl-e-fana kaTti hai
ek taswir jo diwar se uljhi thi kabhi
ab meri nazron mein rahne ki saza kaTti hai
teri sargoshi se kaT jata hai yun sang-e-sukut
jis tarah habs ke patthar ko hawa kaTti hai
qata karta hai mere halqa-e-virani ko
nind jo moD pas-e-KHwab sira kaTti hai
yunhi girti nahin ashkon ki siyahi dil par
an-kaha likhti kabhi likkha hua kaTti hai
chiKHna chahun to Dasti hai KHamoshi 'shaariq'
chup rahun to mujhe zahrili sada kaTti hai

Ghazal
Sans ki dhaar zara ghusti zara kaTti hai
Saeed Shariq