اردو हिंदी
Samne jo kaha nahin hota | Shaahi Shayari
samne jo kaha nahin hota

Ghazal

Samne jo kaha nahin hota

darvesh bharti

;

samne jo kaha nahin hota
tum se koi gila nahin hota

jo KHafa hai KHafa nahin hota
hum ne gar sach kaha nahin hota

is mein jo ekta nahin hoti
ghar ye hargiz bacha nahin hota

jaanta kis tarah ki kya hai ghurur
wo jo uThkar gira nahin hota

naw kyun us ke hathon saunpi thi
naKHuda to KHuda nahin hota

tap nahin sakta dukh ki aanch mein jo
KHud se wo aashna nahin hota

prem KHud sa kare na jo sab se
phir wo 'darwesh' sa nahin hota