اردو हिंदी
Saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya | Shaahi Shayari
saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya

Ghazal

Saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya

Saghar Azmi

;

saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya
ab ke fasad dil se mere Dar bhi le gaya

KHairaat baT rahi thi dar-e-shahryar par
sunte hain ab ke bhik sikandar bhi le gaya

man ne bacha ke rakkha tha beTi ke waste
beTa hua jawan to ye zewar bhi le gaya

aaya tha har kisi ko mohabbat se jitne
kuchh zaKHm apne sine ka 'saghar' bhi le gaya