saman-e-aish sara hamein yun tu de gaya
lekin hamare munh se zaban kaT le gaya
daftar mein zehn ghar nigah raste mein panw
jine ki kawishon mein badan hath se gaya
sine se aag aankh se pani ragon se KHun
ek shaKHs hum se chhin ke kya kya na le gaya
lab par sukut dil mein udasi nazar mein KHauf
mera uruj mujh ko ye saughat de gaya
KHwabon ka ek tilism bacha tha dimagh mein
ab ke baras ise bhi koi toD le gaya
phunkarta hua mujhe ek azhdaha mila
jab bhi kisi KHazane ka dar kholne gaya
Ghazal
Saman-e-aish sara hamein yun tu de gaya
Ghazanfar