اردو हिंदी
Sahil pe gawara hamein marna bhi nahin hai | Shaahi Shayari
sahil pe gawara hamein marna bhi nahin hai

Ghazal

Sahil pe gawara hamein marna bhi nahin hai

Jaleel Saz

;

sahil pe gawara hamein marna bhi nahin hai
TuTi hui kashti se utarna bhi nahin hai

baiThe hain shab-o-roz tasawwur mein usi ke
wo rahguzar jis se guzarna bhi nahin hai

likkhenge ba-har-haal hikayat-e-junun hum
sachchai qalam mein hai to Darna bhi nahin hai

ahbab bhi ab tez kiye baiThe hain naKHun
ab apne kisi zaKHm ko bharna bhi nahin hai

qatil ko bula lao sitamgar ko sada do
inkar mujhe maut se karna bhi nahin hai

ye KHak hai aadam ki daba is ko lahad mein
is KHak ko rahon mein bikharna bhi nahin hai

ehsan masafat mein kisi ka nahin lete
diwar ke sae mein Thaharna bhi nahin hai