sahil-e-intizar mein tanha
yaad wo lahar lahar aae mujhe
dasht-e-diwangi ke Tilon par
raqs karti hawa bulae mujhe
ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ek dost yaad aae mujhe
bhul baiTha hun main zamane ko
ab zamana bhi bhul jae mujhe
ek gharaunda hun ret ka paiham
koi Dhae mujhe banae mujhe
ek harf-e-ghalat hun hasti ka
nesti kyun na phir miTae mujhe
dafatan mere ru-ba-ru aa kar
aaine mein koi Darae mujhe
aandhiyan kyun meri talash mein hon
ek jhonka hi jab bujhae mujhe
jaise ek naqsh-e-na-durust ko tifl
koi andar se yun miTae mujhe
rakh apni umang ki hun 'raza'
aa ke jhonka koi uDae mujhe
Ghazal
Sahil-e-intizar mein tanha
Asif Raza