saghar-e-sifalin ko jam-e-jam banaya hai
phail kar mere dil ne main ko ham banaya hai
ham-safar banaya hai ham-qadam banaya hai
waqt ne mujhe kitna mohtaram banaya hai
naz hai KHalili ko husn-e-naqsh-e-sani par
garche aazari hi ne ye sanam banaya hai
be-kasi-e-dil apni dur ki hai yun main ne
dusron ke gham ko bhi apna gham banaya hai
zindagi ki mausiqi kya hai hum samajhte hain
saz ke talawwun ko zer-o-bam banaya hai
zulf ki tarah is ko bas sanwarte rahiye
zindagi ko fitrat ne KHam-ba-KHam banaya hai
main ne zarre zarre ko muskurahaTen di hain
tum ne har sitare ko chashm-e-nam banaya hai
muddai-e-jiddat hai teri fikr ai zahid!
mai-kade ki inTon se kyun iram banaya hai
but hazaron toDe hain kitne TukDe joDe hain
zindagi ne jab ja kar ek sanam banaya hai
Ghazal
Saghar-e-sifalin ko jam-e-jam banaya hai
Parvez Shahidi