sagar bhi to qatra nikla
jo aankhon se bahta nikla
bolo ab tum kya kahte ho
main is bar bhi sachcha nikla
dil to KHair pareshan tha hi
zehn bhi mera uljha nikla
Dub gaya shab ke dariya mein
chand bhi bas ek qatra nikla
sham hui to dil mein lauTa
dard bhi ek parinda nikla
mujh se kis ne baaten ki thin
sannaTa to gunga nikla
us ke aansu meri KHushiyan
ye sauda bhi mahnga nikla
'kanha' roya aaj main ji bhar
dil ka ek ek kanTa nikla

Ghazal
Sagar bhi to qatra nikla
Prakhar Malviya Kanha